bujhi hai dhup rahmat ki ghaTa aawaz deti hai
bujhī hai dhuup rahmat kī ghaTā āvāz detī hai
suno rahmān ko ḳhalq-e-ḳhudā āvāz detī hai
bahut muḳhlis hai sāda-dil hai sab ko jaan se pyārā
vo markaz par hai us ko har dishā āvāz detī hai
sitam sah kar bhī jo īmān pe qaa.em raheñ un kī
zabāneñ kaT bhī jaa.eñ to vafā āvāz detī hai
badan meñ nuur hai jis kā vahī āgāh kartā hai
zarā sī bhuul ho to aatmā āvāz detī hai
dhuāñ aisā ki āñkheñ kholnā mushkil huā jaa.e
lahū kī aag bhaḌkī hai havā āvāz detī hai
yahāñ par raushnī vaale bhī aa kar sahm jaate haiñ
daraḳhtoñ par siyāhī hai balā āvāz detī hai
adab kī paiñtare-bāzī se dil uktā gayā 'pāras'
ta.alluq munqata.a kar luuñ anā āvāz detī hai
bujhi hai dhup rahmat ki ghaTa aawaz deti hai
suno rahman ko KHalq-e-KHuda aawaz deti hai
bahut muKHlis hai sada-dil hai sab ko jaan se pyara
wo markaz par hai us ko har disha aawaz deti hai
sitam sah kar bhi jo iman pe qaem rahen un ki
zabanen kaT bhi jaen to wafa aawaz deti hai
badan mein nur hai jis ka wahi aagah karta hai
zara si bhul ho to aatma aawaz deti hai
dhuan aisa ki aankhen kholna mushkil hua jae
lahu ki aag bhaDki hai hawa aawaz deti hai
yahan par raushni wale bhi aa kar sahm jate hain
daraKHton par siyahi hai bala aawaz deti hai
adab ki paintare-bazi se dil ukta gaya 'paras'
talluq munqata kar lun ana aawaz deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.