bujhne lage nazar to phir us par dekhna
bujhne lage nazar to phir us paar dekhnā
dariyā chaḌhe to naav kī raftār dekhnā
is āgahī ke ā.īna-e-ḳhud-misāl meñ
ḳhud apnī zaat ko sar-e-paikār dekhnā
āñkhoñ se rat-jagoñ kī harārat nahīñ ga.ī
ai yād-e-yār tishna-e-āzār dekhnā
hoñToñ pe aa ke jam sī ga.ī ḳhvāhish-e-visāl
is an-kahī pe lazzat-e-inkār dekhnā
ham vo vafā-parast tujhe dekhne ke baa'd
apnī taraf bhī sūrat-e-dīvār dekhnā
shāḳh o samar to munsif o qātil ke ho ga.e
ab kis ke sar pe girtī hai talvār dekhnā
yuuñ hai ki jab bichhaḌne lageñ dil se dhaḌkaneñ
tab us galī meñ sub.h ke āsār dekhnā
ab ye dil o nigāh ke bas meñ nahīñ rahā
har ā.īne meñ aks-e-ruḳh-e-yār dekhnā
sāhil ko mauj le ga.ī aur us ko bādbāñ
ḳhāvar ab is ke baa'd na us paar dekhnā
bujhne lage nazar to phir us par dekhna
dariya chaDhe to naw ki raftar dekhna
is aagahi ke aaina-e-KHud-misal mein
KHud apni zat ko sar-e-paikar dekhna
aankhon se rat-jagon ki hararat nahin gai
ai yaad-e-yar tishna-e-azar dekhna
honTon pe aa ke jam si gai KHwahish-e-visal
is an-kahi pe lazzat-e-inkar dekhna
hum wo wafa-parast tujhe dekhne ke ba'd
apni taraf bhi surat-e-diwar dekhna
shaKH o samar to munsif o qatil ke ho gae
ab kis ke sar pe girti hai talwar dekhna
yun hai ki jab bichhaDne lagen dil se dhaDkanen
tab us gali mein subh ke aasar dekhna
ab ye dil o nigah ke bas mein nahin raha
har aaine mein aks-e-ruKH-e-yar dekhna
sahil ko mauj le gai aur us ko baadban
KHawar ab is ke ba'd na us par dekhna
- Book : meyaar (Pg. 299)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.