bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein
bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein
Rafique Khayal
MORE BYRafique Khayal
bujhtī sham.a kī sūrat kyuuñ afsurda khaḌe ho khiḌkī meñ
dekho shaam hai kis darja dilkash is dhuup kī vardī meñ
vahm-o-gumāñ ke sahrāoñ meñ phuul khile tirī yādoñ ke
aur charāġhāñ duur tilak hai sāñsoñ kī is vaadī meñ
qahr-o-ġhazab ke mimbar par hāthoñ meñ liye kashkol-e-vafā
jhāñk rahā thā sūraj bhī kal ġhaur se ek surāhī meñ
duur khaḌā ho kar maiñ is liye pahroñ dekhtā rahtā huuñ
qaid bahut sī yādeñ haiñ mirī is vīrān havelī meñ
tahoñ kī pyaas bhī sat.h par ab saaf dikhā.ī detī hai
DhūñD rahe haiñ jaane kyā ye bādal niilī chhatrī meñ
ek hai andesha mujh ko kahīñ mere mar jaane ke ba.ad
bech na deñ mere ghar vaale mirī qīmtī ġhazleñ raddī meñ
rañg aur ḳhushbū kī mānind hai merā sarāpā bhī sāhib
qaid rakhegā āḳhir kab tak vaqt mujhe yuuñ muTThī meñ
bahr-e-mohabbat ke sāhil kī sair bahut kar lī ham ne
aao zarā ab ham bhī dekheñ baiTh ke pyaar kī kashtī meñ
hirs-o-havas ke saare pujārī ek jagah haiñ aaj jama.a
vaqt kī shāḳh pe shāyad koī phuul khilā hai jaldī meñ
bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein
dekho sham hai kis darja dilkash is dhup ki wardi mein
wahm-o-guman ke sahraon mein phul khile teri yaadon ke
aur charaghan dur tilak hai sanson ki is wadi mein
qahr-o-ghazab ke mimbar par hathon mein liye kashkol-e-wafa
jhank raha tha suraj bhi kal ghaur se ek surahi mein
dur khaDa ho kar main is liye pahron dekhta rahta hun
qaid bahut si yaaden hain meri is viran haweli mein
tahon ki pyas bhi sath par ab saf dikhai deti hai
DhunD rahe hain jaane kya ye baadal nili chhatri mein
ek hai andesha mujh ko kahin mere mar jaane ke baad
bech na den mere ghar wale meri qimti ghazlen raddi mein
rang aur KHushbu ki manind hai mera sarapa bhi sahib
qaid rakhega aaKHir kab tak waqt mujhe yun muTThi mein
bahr-e-mohabbat ke sahil ki sair bahut kar li hum ne
aao zara ab hum bhi dekhen baiTh ke pyar ki kashti mein
hirs-o-hawas ke sare pujari ek jagah hain aaj jama
waqt ki shaKH pe shayad koi phul khila hai jaldi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.