bula kar dushmanon ko jaan par mushkil na ban jae
bulā kar dushmanoñ ko jaan par mushkil na ban jaa.e
akhāḌā faujdārī kā terī mahfil na ban jaa.e
liye phirtā hai saalā Tiin kī talvār hāthoñ meñ
javāñ hone se pahle hī kahīñ qātil na ban jaa.e
zamāna muztarib hai merī rūdād-e-alam sun kar
kahīñ duniyā se ulfat iztirāb-e-dil na bin jaa.e
phirā karte ho lailā kī tarah din raat Dolī meñ
yahī parda tumhārā parda-e-mahmil na ban jaa.e
terī zulf-e-siyah chhoTī sī jo ma.alūm hotī hai
kahīñ aage ko ye baḌh kar balā-e-dil na ban jaa.e
use ham dil nahīñ miTTī kā ik Dhelā samajhte haiñ
ki jab tak ranj-o-ġham sahne ke vo qābil na ban jaa.e
vahī hai be-qarārī aur vahī hai iztirāb is meñ
kahīñ ye surḳh aañsū thartharā kar dil na ban jaa.e
lagāte hī nahīñ vo haath mere dil kī miTTī ko
unheñ ye Dar hai mere chhūne se phir dil na ban jaa.e
ḳhudā kī raah meñ bosa jo māñgā soch kar bole
ye Dar hai tū hamesha ke liye saa.il na ban jaa.e
janāb-e-'būm' aksar be-ticket chalne ke aadī haiñ
kahīñ pakḌe ga.e to jaan par mushkil na ban jaa.e
bula kar dushmanon ko jaan par mushkil na ban jae
akhaDa faujdari ka teri mahfil na ban jae
liye phirta hai sala Tin ki talwar hathon mein
jawan hone se pahle hi kahin qatil na ban jae
zamana muztarib hai meri rudad-e-alam sun kar
kahin duniya se ulfat iztirab-e-dil na bin jae
phira karte ho laila ki tarah din raat Doli mein
yahi parda tumhaara parda-e-mahmil na ban jae
teri zulf-e-siyah chhoTi si jo malum hoti hai
kahin aage ko ye baDh kar bala-e-dil na ban jae
use hum dil nahin miTTi ka ek Dhela samajhte hain
ki jab tak ranj-o-gham sahne ke wo qabil na ban jae
wahi hai be-qarari aur wahi hai iztirab is mein
kahin ye surKH aansu tharthara kar dil na ban jae
lagate hi nahin wo hath mere dil ki miTTi ko
unhen ye Dar hai mere chhune se phir dil na ban jae
KHuda ki rah mein bosa jo manga soch kar bole
ye Dar hai tu hamesha ke liye sail na ban jae
janab-e-'bum' aksar be-ticket chalne ke aadi hain
kahin pakDe gae to jaan par mushkil na ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.