buland hausle aali janab rakhte hain
buland hausle aalī janāb rakhte haiñ
ham apnī palkoñ pe raushan se ḳhvāb rakhte haiñ
hazīmatoñ kā kahīñ bhī to indirāj nahīñ
har ik varaq na.ī faT.hoñ ke baab rakhte haiñ
ham apnī pyaas pe rakhte haiñ logo zabt-e-azīm
pata hai ḳhvāb ke sahrā sarāb rakhte haiñ
kabhī darāz na ham ne kiyā hai dast-e-talab
ki fazl-e-rab pe yaqīñ be-hisāb rakhte haiñ
ho aarzū jinheñ auj-e-falak ko chhūne kī
amal par apne kaḌā ehtisāb rakhte haiñ
sitam na toḌ ra.ī.yat pe vaqt ke hākim
ye apne pahlū meñ ik inqalāb rakhte haiñ
maiñ apne fe.al-o-amal par kharī rahī 'mīnā'
amal kasauTī pe ham be-hijāb rakhte haiñ
buland hausle aali janab rakhte hain
hum apni palkon pe raushan se KHwab rakhte hain
hazimaton ka kahin bhi to indiraj nahin
har ek waraq nai faThon ke bab rakhte hain
hum apni pyas pe rakhte hain logo zabt-e-azim
pata hai KHwab ke sahra sarab rakhte hain
kabhi daraaz na hum ne kiya hai dast-e-talab
ki fazl-e-rab pe yaqin be-hisab rakhte hain
ho aarzu jinhen auj-e-falak ko chhune ki
amal par apne kaDa ehtisab rakhte hain
sitam na toD raiyat pe waqt ke hakim
ye apne pahlu mein ek inqalab rakhte hain
main apne feal-o-amal par khari rahi 'mina'
amal kasauTi pe hum be-hijab rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.