buland himmat se aasman mein shigaf humse nahin hua hai
buland himmat se āsmāñ meñ shigāf ham se nahīñ huā hai
shikast kā bhī abhī talak e'tirāf ham se nahīñ huā hai
ai bandagān-e-havas abhī ham salāmtī jaañ kī chāhte haiñ
faqīr-e-gosha-nashīñ haiñ par etakāf ham se nahīñ huā hai
larazte hoñToñ se phir duā kī qubūliyat ke haiñ muntazir ham
ye ek sach hai qusūr apnā muaaf ham se nahīñ huā hai
kahāñ nigāhoñ meñ jal uThe haiñ bujhe ta.alluq ke saare jugnū
hamārā ġham munfarid hai ye inkishāf ham se nahīñ huā hai
bayān dene kī ab zarūrat huī hai mahsūs to bolte haiñ
gunāh koī pas-e-naqāb-o-ġhilāf ham se nahīñ huā hai
ġhanīm kī sharteñ puurī saarī hamāre ahbāb kar rahe haiñ
jo gard thī aa.ine pe dil ke vo saaf ham se nahīñ huā hai
virāsat-e-zehn-o-dil kā phir mas.ala koī hal-talab hai 'raunaq'
abhī talak ik zahīn bachcha ḳhilāf ham se nahīñ huā hai
buland himmat se aasman mein shigaf hum se nahin hua hai
shikast ka bhi abhi talak e'tiraf hum se nahin hua hai
ai bandagan-e-hawas abhi hum salamti jaan ki chahte hain
faqir-e-gosha-nashin hain par etakaf hum se nahin hua hai
larazte honTon se phir dua ki qubuliyat ke hain muntazir hum
ye ek sach hai qusur apna muaf hum se nahin hua hai
kahan nigahon mein jal uThe hain bujhe talluq ke sare jugnu
hamara gham munfarid hai ye inkishaf hum se nahin hua hai
bayan dene ki ab zarurat hui hai mahsus to bolte hain
gunah koi pas-e-naqab-o-ghilaf hum se nahin hua hai
ghanim ki sharten puri sari hamare ahbab kar rahe hain
jo gard thi aaine pe dil ke wo saf hum se nahin hua hai
wirasat-e-zehn-o-dil ka phir masala koi hal-talab hai 'raunaq'
abhi talak ek zahin bachcha KHilaf hum se nahin hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.