buland itna ghubar-e-karwan rakhte to achchha tha
buland itna ghubar-e-karwan rakhte to achchha tha
Musavvir Karanjavi
MORE BYMusavvir Karanjavi
buland itnā ġhubār-e-kārvāñ rakhte to achchhā thā
muqābil kahkashāñ ke kahkashāñ rakhte to achchhā thā
kahīñ shabnam kī be-qadrī kahīñ sabze kī pāmālī
chaman se duur apnā āshiyāñ rakhte to achchhā thā
agar ye āstān-e-yār par sajda nahīñ achchhā
to phir ai dil jabīñ apnī kahāñ rakhte to achchhā thā
sar-e-mai-ḳhāna āḳhir sāya-e-abr-e-siyah kab tak
saroñ par sāya-e-pīr-e-muġhāñ rakhte to achchhā thā
shuā-e-mahr shabnam kī baqā kyā chhīn saktī thī
ye qatre ḳhud meñ zarf-e-be-karāñ rakhte to achchhā thā
jigar ahl-e-havas kā chiir dete tanz ke nashtar
zabāñ par tum hamārī dāstāñ rakhte to achchhā thā
nazar aatā 'musavvir' ye bhī ruḳh tasvīr-e-gulshan kā
numāyāñ is meñ kuchh rang-e-ḳhizāñ rakhte to achchhā thā
buland itna ghubar-e-karwan rakhte to achchha tha
muqabil kahkashan ke kahkashan rakhte to achchha tha
kahin shabnam ki be-qadri kahin sabze ki pamali
chaman se dur apna aashiyan rakhte to achchha tha
agar ye aastan-e-yar par sajda nahin achchha
to phir ai dil jabin apni kahan rakhte to achchha tha
sar-e-mai-KHana aaKHir saya-e-abr-e-siyah kab tak
saron par saya-e-pir-e-mughan rakhte to achchha tha
shua-e-mahr shabnam ki baqa kya chhin sakti thi
ye qatre KHud mein zarf-e-be-karan rakhte to achchha tha
jigar ahl-e-hawas ka chir dete tanz ke nashtar
zaban par tum hamari dastan rakhte to achchha tha
nazar aata 'musawwir' ye bhi ruKH taswir-e-gulshan ka
numayan is mein kuchh rang-e-KHizan rakhte to achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.