bulandiyon ke dhundalke mein tha KHuda sa laga
Interesting Fact
1973
bulandiyoñ ke dhundalke meñ thā ḳhudā sā lagā
jo maiñ qarīb se guzrā to vo shanāsā lagā
na koī jism thā us kā na koī chehra magar
jihat jihat se ubhartī huī sadā sā lagā
aqab meñ chhoḌtā aayā shikastagī kā ġhubār
ki sañg-e-mīl bhī mujh ko ik aa.ina sā lagā
bahut nasheb-o-farāz us ke tai kiye maiñ ne
vo sar se paañv talak ek rāstā sā lagā
yahī kahā thā ki tum sab badalte chehre ho
har ek shaḳhs mujhe phir ḳhafā ḳhafā sā lagā
sadā-e-āmad-o-shud bā.is-e-safar thī 'kamāl'
nafas nafas mujhe apne lahū kā pyāsā lagā
bulandiyon ke dhundalke mein tha KHuda sa laga
jo main qarib se guzra to wo shanasa laga
na koi jism tha us ka na koi chehra magar
jihat jihat se ubharti hui sada sa laga
aqab mein chhoDta aaya shikastagi ka ghubar
ki sang-e-mil bhi mujh ko ek aaina sa laga
bahut nasheb-o-faraaz us ke tai kiye main ne
wo sar se panw talak ek rasta sa laga
yahi kaha tha ki tum sab badalte chehre ho
har ek shaKHs mujhe phir KHafa KHafa sa laga
sada-e-amad-o-shud bais-e-safar thi 'kamal'
nafas nafas mujhe apne lahu ka pyasa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.