bulandiyon pe zamane hai kya kiya jae
bulandiyon pe zamane hai kya kiya jae
Noorul Ain Qaisar Qasmi
MORE BYNoorul Ain Qaisar Qasmi
bulandiyoñ pe zamāne hai kyā kiyā jaa.e
hameñ bhī chāñd pe jaanā hai kyā kiyā jaa.e
vo jis ke sāmne khulte nahīñ haiñ lab mere
usī ko sher sunānā hai kyā kiyā jaa.e
havas kī zad pe taḌaptī sisaktī duniyā meñ
vaqār apnā bachānā hai kyā kiyā jaa.e
nikal paḌā hai koī ghar se bijliyāñ le kar
mirā chaman hī nishāna hai kyā kiyā jaa.e
bahār se hī Dare baiThe haiñ chaman vaale
abhī ḳhizāñ ko bhī aanā hai kyā kiyā jaa.e
bulandiyon pe zamane hai kya kiya jae
hamein bhi chand pe jaana hai kya kiya jae
wo jis ke samne khulte nahin hain lab mere
usi ko sher sunana hai kya kiya jae
hawas ki zad pe taDapti sisakti duniya mein
waqar apna bachana hai kya kiya jae
nikal paDa hai koi ghar se bijliyan le kar
mera chaman hi nishana hai kya kiya jae
bahaar se hi Dare baiThe hain chaman wale
abhi KHizan ko bhi aana hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.