bulbul ka haal dekh chuka hun chaman se dur
bulbul kā haal dekh chukā huuñ chaman se duur
aa.e na mujh ko maut ilāhī vatan se duur
haañ ik nazar idhar bhī zarā ahl-e-anjuman
baiThā hai pā-shikasta koī anjuman se duur
ummīd-e-iltifāt bañdhāte ho kis liye
jā.ūñ kahāñ maiñ sāya-e-charḳh-e-kuhan se duur
koī mizāj-dāñ hai na koī sharīk-e-dard
huuñ ḳhitta-e-adam ke qarīb aur vatan se duur
parvardagān-e-nāz zarā ye bhī soch leñ
dasht-e-basīt itnā nahīñ hai chaman se duur
kis se kahūñ maiñ dil kī yahāñ kaun hai mirā
ġhurbat ne lā ke chhoḌ diyā hai vatan se duur
jab se mirā nasīb bigaḌtā chalā gayā
hotā chalā gayā maiñ hudūd-e-vatan se duur
'bismil' vo vaqt haa.e vo jannat-badosh vaqt
miltā hai koī ahl-e-vatan jab vatan se duur
bulbul ka haal dekh chuka hun chaman se dur
aae na mujh ko maut ilahi watan se dur
han ek nazar idhar bhi zara ahl-e-anjuman
baiTha hai pa-shikasta koi anjuman se dur
ummid-e-iltifat bandhate ho kis liye
jaun kahan main saya-e-charKH-e-kuhan se dur
koi mizaj-dan hai na koi sharik-e-dard
hun KHitta-e-adam ke qarib aur watan se dur
parwardagan-e-naz zara ye bhi soch len
dasht-e-basit itna nahin hai chaman se dur
kis se kahun main dil ki yahan kaun hai mera
ghurbat ne la ke chhoD diya hai watan se dur
jab se mera nasib bigaDta chala gaya
hota chala gaya main hudud-e-watan se dur
'bismil' wo waqt hae wo jannat-badosh waqt
milta hai koi ahl-e-watan jab watan se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.