bulbul ke naghme KHushbu ke charche hawa hue
bulbul ke naġhme ḳhushbū ke charche havā hue
mausam badal gayā hai vo jab se judā hue
milte nahīñ haiñ phūloñ meñ ab titliyoñ ke rang
bachpan meñ jaane soch ke kyā ham fidā hue
tum ko kamān khīñchnā aaya na aaj tak
tarkash meñ jitne tiir the saare ḳhatā hue
ham ko to ek ek qasam apnī yaad hai
gin ke batāo va.ade jo tum se vafā hue
vaqt-e-duā hai māñgo duā kārvāñ kī ḳhair
vāqif nahīñ jo raah se vo rahnumā hue
ḳhush aa.egā na tum ko sanam pūjnā kabhī
patthar tumhāre shahr ke saare ḳhudā hue
manzil ke jab nishāñ nazar aane lage 'jamāl'
har har qadam pe shukr ke sajde adā hue
bulbul ke naghme KHushbu ke charche hawa hue
mausam badal gaya hai wo jab se juda hue
milte nahin hain phulon mein ab titliyon ke rang
bachpan mein jaane soch ke kya hum fida hue
tum ko kaman khinchna aaya na aaj tak
tarkash mein jitne tir the sare KHata hue
hum ko to ek ek qasam apni yaad hai
gin ke batao wade jo tum se wafa hue
waqt-e-dua hai mango dua karwan ki KHair
waqif nahin jo rah se wo rahnuma hue
KHush aaega na tum ko sanam pujna kabhi
patthar tumhaare shahr ke sare KHuda hue
manzil ke jab nishan nazar aane lage 'jamal'
har har qadam pe shukr ke sajde ada hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.