bulbul ke sar mein kyon na bhare phir hawa-e-gul
bulbul ke sar meñ kyoñ na bhare phir havā-e-gul
gul bulbuloñ pe shefta bulbul fidā-e-gul
us gul ne jaise qabr pe merī chaḌhā.e gul
bāġh-e-jahāñ meñ kyā hī bañdhī hai havā-e-gul
us gul ne fātiha ko hamāre haiñ laa.e gul
Dar hai kahīñ charāġh-e-lahad ho na jaa.e gul
bulbul se dil lagāne kī hai ye sazā-e-gul
dāman se tā-ba-jeb qabā hai qabā-e-gul
ḳhāroñ pe ḳhaar dāġhoñ pe gar daaġh khaa.e gul
rang-o-nazākat us kī sī lekin na paa.e gul
gul rashk se kareñge garebāñ ko apne chaak
vo aa.e gar chaman meñ pahan kar qabā-e-gul
bulbul chaman meñ baiTh ke mimbar pe shāḳh kī
har sub.h-o-shām karte haiñ mad.h-o-sanā-e-gul
guzrā firāqe-e-gul meñ huuñ bulbul to koī shai
hargiz chaḌhā.iyo na lahad par sivā-e-gul
gulshan meñ us ke 'ḳhanjar'-e-abrū ko dekh kar
shamshīr se hayā kī kahīñ kaT na jaa.e gul
bulbul ke sar mein kyon na bhare phir hawa-e-gul
gul bulbulon pe shefta bulbul fida-e-gul
us gul ne jaise qabr pe meri chaDhae gul
bagh-e-jahan mein kya hi bandhi hai hawa-e-gul
us gul ne fatiha ko hamare hain lae gul
Dar hai kahin charagh-e-lahad ho na jae gul
bulbul se dil lagane ki hai ye saza-e-gul
daman se ta-ba-jeb qaba hai qaba-e-gul
KHaron pe KHar daghon pe gar dagh khae gul
rang-o-nazakat us ki si lekin na pae gul
gul rashk se karenge gareban ko apne chaak
wo aae gar chaman mein pahan kar qaba-e-gul
bulbul chaman mein baiTh ke mimbar pe shaKH ki
har subh-o-sham karte hain madh-o-sana-e-gul
guzra firaqe-e-gul mein hun bulbul to koi shai
hargiz chaDhaiyo na lahad par siwa-e-gul
gulshan mein us ke 'KHanjar'-e-abru ko dekh kar
shamshir se haya ki kahin kaT na jae gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.