bulwata hai aqab se mera qafila mujhe
bulvātā hai aqab se mirā qāfila mujhe
kaisā milā hai tund-varī kā sila mujhe
furqat ke din guzārnā yuuñ to muhāl thā
ik terī yaad ne hī diyā hausla mujhe
ye aur baat hai ki merā zarf tañg thā
apnī taraf se tū ne to sab kuchh diyā mujhe
jab gardish-e-falak se na kuchh baat ban sakī
duniyā-e-rañg-o-bū kā banāyā ḳhudā mujhe
go farsh par huuñ phir bhī tasavvur meñ arsh hai
dekhā tirā ḳhayāl kahāñ le gayā mujhe
tere karam kā zarra-navāzī kā shukriya
duniyā bhī kah rahī hai qatīl-e-jafā mujhe
'bismil' kī ārzūeñ to pāmāl kar chuke
ab de rahe ho hasula-e-mudd.ā mujhe
bulwata hai aqab se mera qafila mujhe
kaisa mila hai tund-wari ka sila mujhe
furqat ke din guzarna yun to muhaal tha
ek teri yaad ne hi diya hausla mujhe
ye aur baat hai ki mera zarf tang tha
apni taraf se tu ne to sab kuchh diya mujhe
jab gardish-e-falak se na kuchh baat ban saki
duniya-e-rang-o-bu ka banaya KHuda mujhe
go farsh par hun phir bhi tasawwur mein arsh hai
dekha tera KHayal kahan le gaya mujhe
tere karam ka zarra-nawazi ka shukriya
duniya bhi kah rahi hai qatil-e-jafa mujhe
'bismil' ki aarzuen to pamal kar chuke
ab de rahe ho hasula-e-mudda mujhe
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 88)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.