buniyaad husn-o-ishq ki pahle rakhi gai
buniyād husn-o-ishq kī pahle rakhī ga.ī
phir bazm-e-kā.enāt kī ta.amīr kī ga.ī
nākāmiyoñ ke baad bhī hai hausla buland
past-himmatī kī baat na ham se sunī ga.ī
kahne ko soz-e-ishq kī taqsīm thī magar
apne faroġh-e-husn kī tash.hīr kī ga.ī
le de ke ek sham.a hai vo bhī bujhī bujhī
marne ke baad bhī na mirī bekasī ga.ī
labbaik kah ke sū-e-haram ho gayā ravāñ
nutq-e-ḳhalīl se jise āvāz dī ga.ī
andāz dilrubā.ī ke jitne diye ga.e
utnī hī dil-dahī kī adā chhīn lī ga.ī
duniyā hai is fareb-e-samā.at meñ mubtalā
har ik ko hai gumāñ mujhe āvāz dī ga.ī
is tarah zindagī ke hue marhale tamām
har sang-e-ġham kī choT barābar sahī ga.ī
hamdard-o-ġham-gusār 'riyāzī' the qabr tak
ham-rāh mere sirf mirī bekasī ga.ī
buniyaad husn-o-ishq ki pahle rakhi gai
phir bazm-e-kaenat ki tamir ki gai
nakaamiyon ke baad bhi hai hausla buland
past-himmati ki baat na hum se suni gai
kahne ko soz-e-ishq ki taqsim thi magar
apne farogh-e-husn ki tashhir ki gai
le de ke ek shama hai wo bhi bujhi bujhi
marne ke baad bhi na meri bekasi gai
labbaik kah ke su-e-haram ho gaya rawan
nutq-e-KHalil se jise aawaz di gai
andaz dilrubai ke jitne diye gae
utni hi dil-dahi ki ada chhin li gai
duniya hai is fareb-e-samaat mein mubtala
har ek ko hai guman mujhe aawaz di gai
is tarah zindagi ke hue marhale tamam
har sang-e-gham ki choT barabar sahi gai
hamdard-o-gham-gusar 'riyazi' the qabr tak
ham-rah mere sirf meri bekasi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.