bura kahne se mujhko muddaa kya
burā kahne se mujh ko mudda'ā kyā
koī pūchhe to us ne ye kahā kyā
suneñ ham bhī ki dushman ne kahā kyā
bhalā jhūTī shikāyat kā gilā kyā
mohabbat kī ye bāteñ haiñ mirī jaañ
vafā kī ibtidā kyā intihā kyā
na kiije mujh se ġhairoñ kī shikāyat
bhulā dī aap ne tarz-e-vafā kyā
sunā hai qais thā lailā kā 'āshiq
mohabbat ho to phir achchhā burā kyā
javānī meñ ye nādānī kī bāteñ
vo kahte haiñ ki vā'de kī vafā kyā
vafā par jaan bhī qurbāñ hai apnī
jo pūchhe ham ko us kā pūchhnā kyā
khile the us ke lab ġhunche kī sūrat
batā to do ki 'shankar' se kahā kyā
bura kahne se mujh ko mudda'a kya
koi puchhe to us ne ye kaha kya
sunen hum bhi ki dushman ne kaha kya
bhala jhuTi shikayat ka gila kya
mohabbat ki ye baaten hain meri jaan
wafa ki ibtida kya intiha kya
na kije mujh se ghairon ki shikayat
bhula di aap ne tarz-e-wafa kya
suna hai qais tha laila ka 'ashiq
mohabbat ho to phir achchha bura kya
jawani mein ye nadani ki baaten
wo kahte hain ki wa'de ki wafa kya
wafa par jaan bhi qurban hai apni
jo puchhe hum ko us ka puchhna kya
khile the us ke lab ghunche ki surat
bata to do ki 'shankar' se kaha kya
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 40)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.