bura kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
burā kyā kar nahīñ sakte haiñ lekin ham nahīñ karte
ḳhatā kyā kar nahīñ sakte haiñ lekin ham nahīñ karte
tere zulm-o-tashaddud kā terī shola-bayānī kā
gila kyā kar nahīñ sakte haiñ lekin ham nahīñ karte
ham apnī nasl ke is zard aur sūkhe gulistāñ ko
harā kyā kar nahīñ sakte haiñ lekin ham nahīñ karte
hamārī dastaras meñ hai bhalā.ī phir ġharīboñ kā
bhalā kyā kar nahīñ sakte haiñ lekin ham nahīñ karte
diloñ se har vo ḳhvāhish jo hameñ barbād kartī hai
judā kyā kar nahīñ sakte haiñ lekin ham nahīñ karte
baham nafrat ke nāsūroñ kī jo sīnoñ meñ palte haiñ
davā kyā kar nahīñ sakte haiñ lekin ham nahīñ karte
ham apne ḳhuun se kar ke vuzū ab bhī namāz-e-haq
adā kyā kar nahīñ sakte haiñ lekin ham nahīñ karte
bura kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
KHata kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
tere zulm-o-tashaddud ka teri shola-bayani ka
gila kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
hum apni nasl ke is zard aur sukhe gulistan ko
hara kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
hamari dastaras mein hai bhalai phir gharibon ka
bhala kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
dilon se har wo KHwahish jo hamein barbaad karti hai
juda kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
baham nafrat ke nasuron ki jo sinon mein palte hain
dawa kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
hum apne KHun se kar ke wuzu ab bhi namaz-e-haq
ada kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.