bura lagta hai kyon shikwa hamara
burā lagtā hai kyoñ shikva hamārā
nahīñ shāyad koī rishta hamārā
hamāre haath kuchh aa.e na aa.e
magar hogā yahī shoba hamārā
kaho to jhuuT bhī thoḌā milā deñ
agar mīThā nahīñ lahja hamārā
tavāf-e-ishq hotā hai yahīñ par
bahut nazdīk hai ka.aba hamārā
tum aao to ise chhuTTī milegī
thakan se chuur hai takiya hamārā
are ham to muhāfiz haiñ tumhāre
tumheñ hai kis liye ḳhatra hamārā
ham aa.e the mohabbat kī galī meñ
badal kar rah gayā naqsha hamārā
tumhāre pattharoñ ko kyā huā hai
salāmat hai abhī shīsha hamārā
bura lagta hai kyon shikwa hamara
nahin shayad koi rishta hamara
hamare hath kuchh aae na aae
magar hoga yahi shoba hamara
kaho to jhuT bhi thoDa mila den
agar miTha nahin lahja hamara
tawaf-e-ishq hota hai yahin par
bahut nazdik hai kaba hamara
tum aao to ise chhuTTi milegi
thakan se chur hai takiya hamara
are hum to muhafiz hain tumhaare
tumhein hai kis liye KHatra hamara
hum aae the mohabbat ki gali mein
badal kar rah gaya naqsha hamara
tumhaare pattharon ko kya hua hai
salamat hai abhi shisha hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.