bure dinon mein mujhe yun sanbhaal sakta tha
bure dinoñ meñ mujhe yuuñ sañbhāl saktā thā
vo apne ḳhvāb mire dil meñ paal saktā thā
use bachānā thā tairāk bhī nahīñ thī maiñ
mujhe ye faisla mushkil meñ Daal saktā thā
zarā sī der meñ uktā ga.e the sun ke log
isī ḳhabar ko vo kitnā uchhāl saktā thā
zarūratoñ ne bhī bāheñ pasār rakkhīñ thiiñ
vo kaise ḳhvāhishoñ ke par nikāl saktā thā
mizāj pūchhne us ke sivā sabhī aa.e
ki jis kā aanā mirī maut Taal saktā thā
bure dinon mein mujhe yun sanbhaal sakta tha
wo apne KHwab mere dil mein pal sakta tha
use bachana tha tairak bhi nahin thi main
mujhe ye faisla mushkil mein Dal sakta tha
zara si der mein ukta gae the sun ke log
isi KHabar ko wo kitna uchhaal sakta tha
zaruraton ne bhi bahen pasar rakkhin thin
wo kaise KHwahishon ke par nikal sakta tha
mizaj puchhne us ke siwa sabhi aae
ki jis ka aana meri maut Tal sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.