buri nazron se tab hi hum dekhte hain
burī nazroñ se tab hī ham dekhte haiñ
hameñ ye ḳhabar hai vo kam dekhte haiñ
ye kis ne kahā hai ki kam dekhte haiñ
na tum dekh paao jo ham dekhte haiñ
unheñ kyā ḳhabar jā chukā hai kabhī kā
hamārā vo ab aa ke dam dekhte haiñ
vo dhamkā ga.e marte marte bhī mujh ko
tujhe to ham agle janam dekhte haiñ
ai qāsid ḳhud un ko mirā haal kahnā
ziyāda vo sunte haiñ kam dekhte haiñ
jo pūchhī pasandīda shai dekhne meñ
kahā shauq se terā ġham dekhte haiñ
kabhī ham se muñh pherte haiñ vo apnā
palaT kar kabhī ek dam dekhte haiñ
magan haiñ vo apne ḳhayāloñ meñ 'hāris'
ye un kī balā se ki ham dekhte haiñ
buri nazron se tab hi hum dekhte hain
hamein ye KHabar hai wo kam dekhte hain
ye kis ne kaha hai ki kam dekhte hain
na tum dekh pao jo hum dekhte hain
unhen kya KHabar ja chuka hai kabhi ka
hamara wo ab aa ke dam dekhte hain
wo dhamka gae marte marte bhi mujh ko
tujhe to hum agle janam dekhte hain
ai qasid KHud un ko mera haal kahna
ziyaada wo sunte hain kam dekhte hain
jo puchhi pasandida shai dekhne mein
kaha shauq se tera gham dekhte hain
kabhi hum se munh pherte hain wo apna
palaT kar kabhi ek dam dekhte hain
magan hain wo apne KHayalon mein 'haaris'
ye un ki bala se ki hum dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.