buri zaminon ke faslon ko miTate rahna
burī zamīnoñ ke fāsloñ ko miTāte rahnā
maiñ lauT ā.ūñgā mujh ko vāpas bulāte rahnā
ye gard-bādoñ kā mas.ala hai ki mashġhala hai
havā ke dāman pe dā.ere se banāte rahnā
tirī talab ke alāva apnā koī nahīñ hai
qarīb aa kar bhī kuchh na kuchh duur jaate rahnā
tumhārī āñkheñ to zindagī se bharī huī haiñ
hamāre jaisoñ kā hausla bhī baḌhāte rahnā
vo nazm jis ko paḌhā nahīñ thā jiyā thā ham ne
koī bhī rut ho bahār aa.ī sunāte rahnā
visāl kyā hai supurdagī kā kamāl kyā hai
baḌhā-chaḌhā kar saheliyoñ ko batāte rahnā
nazar bhī rakhnā mohalle vāloñ kī zindagī par
kabūtaroñ ko bhī dāna-vāna khilāte rahnā
bichhaḌnā chāho to apne dil kī nafī na karnā
yahī bahut hai jahāñ raho muskurāte rahnā
ye peḌ vo haiñ jo āsmānoñ ko saaya deñge
jo ho sake to duā ke paude lagāte rahnā
hamārī duniyā meñ hairatoñ kī bahut kamī hai
ye aag andar se bujh rahī hai jalāte rahnā
buri zaminon ke faslon ko miTate rahna
main lauT aaunga mujh ko wapas bulate rahna
ye gard-baadon ka masala hai ki mashghala hai
hawa ke daman pe daere se banate rahna
teri talab ke alawa apna koi nahin hai
qarib aa kar bhi kuchh na kuchh dur jate rahna
tumhaari aankhen to zindagi se bhari hui hain
hamare jaison ka hausla bhi baDhate rahna
wo nazm jis ko paDha nahin tha jiya tha hum ne
koi bhi rut ho bahaar aai sunate rahna
visal kya hai supurdagi ka kamal kya hai
baDha-chaDha kar saheliyon ko batate rahna
nazar bhi rakhna mohalle walon ki zindagi par
kabutaron ko bhi dana-wana khilate rahna
bichhaDna chaho to apne dil ki nafi na karna
yahi bahut hai jahan raho muskuraate rahna
ye peD wo hain jo aasmanon ko saya denge
jo ho sake to dua ke paude lagate rahna
hamari duniya mein hairaton ki bahut kami hai
ye aag andar se bujh rahi hai jalate rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.