but ke parde mein KHuda tha mujhe malum na tha
but ke parde meñ ḳhudā thā mujhe ma.alūm na thā
la.al patthar meñ chhupā thā mujhe ma.alūm na thā
DhūñDhtā maiñ rahā tasbīh ke dānoñ meñ use
zarre zarre meñ ḳhudā thā mujhe ma.alūm na thā
dil ne jā jā ke kiye lākhoñ tavāf-e-ka.aba
aur vo dil meñ chhupā thā mujhe ma.alūm na thā
ism-e-ahmad meñ ahad aap chhupā baiThā thā
miim kā parda paḌā thā mujhe ma.alūm na thā
le ke dil ġhair kā vo dil meñ mire aa baiThā
ghar meñ ik chor chhupā thā mujhe ma.alūm na thā
hosh aate hī ye muusā kī zabāñ se niklā
tuur pe nūr-e-ḳhudā thā mujhe ma.alūm na thā
kis ne chauñkā diyā kyoñ hosh meñ aaya 'asġhar'
be-ḳhudī meñ hī mazā thā mujhe ma.alūm na thā
but ke parde mein KHuda tha mujhe malum na tha
lal patthar mein chhupa tha mujhe malum na tha
DhunDhta main raha tasbih ke danon mein use
zarre zarre mein KHuda tha mujhe malum na tha
dil ne ja ja ke kiye lakhon tawaf-e-kaba
aur wo dil mein chhupa tha mujhe malum na tha
ism-e-ahmad mein ahad aap chhupa baiTha tha
mim ka parda paDa tha mujhe malum na tha
le ke dil ghair ka wo dil mein mere aa baiTha
ghar mein ek chor chhupa tha mujhe malum na tha
hosh aate hi ye musa ki zaban se nikla
tur pe nur-e-KHuda tha mujhe malum na tha
kis ne chaunka diya kyon hosh mein aaya 'asghar'
be-KHudi mein hi maza tha mujhe malum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.