but-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujhko
but-parastī ne kiyā āshiq-e-yazdāñ mujh ko
parda-e-kufr meñ hāsil huā īmāñ mujh ko
jab talak zulf-e-ruḳh-e-yār kā dīvāna rahā
piir samjhā kiye hindū-o-musalmāñ mujh ko
chāhiye pairahan-e-dāman-e-teġh o qātil
tere ḳhanjar kā hai darkār garebāñ mujh ko
ab dar-andāzī-e-aġhyār nahīñ chal saktī
ḳhuub pahchānte haiñ yaar ke darbāñ mujh ko
sharm-e-īzā se mire dil ko yaqīñ hai ai maut
muñh na dikhlā.egī sub.h-e-shab-e-hijrāñ mujh ko
ḳhāl-e-ruḳh ḳhizr-e-rah-e-kufr na hotā jo tirā
daam meñ lā hī chuke the ye musalmāñ mujh ko
chashm-e-ḳhuñ-ḳhvār kā āġhosh-e-mizha meñ hai ye qaul
zeb hai kahiye agar sher-e-niystāñ mujh ko
jis meñ kuchh hotī hai ummīd-e-visāl-e-mahbūb
itnī khaltī nahīñ vo gardish-e-daurāñ mujh ko
ye na ma.alūm thā is rañg se aa.egī bahār
tauba-e-mai ne kiyā saḳht pashemāñ mujh ko
ishq ne mansab-e-ushshāq jo taqsīm kiye
baaġh bulbul ko diyā kūcha-e-jānāñ mujh ko
sozish-e-dil se ye parvāne kī sūrat taḌpā
dekh kar rone lagī sham-e-shabistāñ mujh ko
mujh girāñ-bār ke mahshar meñ tuleñ jab a.amāl
na subuk kījiyo ai palla-e-mīzāñ mujh ko
kaun andesha-e-fardā kā malāl aaj kare
mausam-e-gul meñ nahīñ fikr-e-zamistāñ mujh ko
tere hote hue ai ġhairat-e-ḳhurshīd na luuñ
khoTe dāmoñ bhī mile gar mah-e-kan.āñ mujh ko
saf-kashī apnī dikhātā hai mujhe kyā ashrār
yaad hai us kī saf-ārā.ī-e-mizhgāñ mujh ko
lab-e-jāñ-baḳhsh sanam kā huuñ jo āshiq to log
jānte haiñ ḳhizar-e-chashma-e-haivāñ mujh ko
nā-tavāñ vo huuñ ajab kyā sifat pā-e-malaḳh
mor le jaa.e agar pesh-e-sulaimāñ mujh ko
mere zulmat-kade meñ laa.eñ jo raushan kar ke
kirm-e-shab aa.e nazar sham-e-shabistāñ mujh ko
sadd-e-bāb ab mirā aġhyār abas karte haiñ
nik.hat gul huuñ nahīñ kuchh ġham-e-darbāñ mujh ko
dil-jalā maiñ huuñ vo āshiq ki shab-e-hijr 'qalaq'
sham.a bhī rone lagī dekh garebāñ mujh ko
but-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujh ko
parda-e-kufr mein hasil hua iman mujh ko
jab talak zulf-e-ruKH-e-yar ka diwana raha
pir samjha kiye hindu-o-musalman mujh ko
chahiye pairahan-e-daman-e-tegh o qatil
tere KHanjar ka hai darkar gareban mujh ko
ab dar-andazi-e-aghyar nahin chal sakti
KHub pahchante hain yar ke darban mujh ko
sharm-e-iza se mere dil ko yaqin hai ai maut
munh na dikhlaegi subh-e-shab-e-hijran mujh ko
KHal-e-ruKH KHizr-e-rah-e-kufr na hota jo tera
dam mein la hi chuke the ye musalman mujh ko
chashm-e-KHun-KHwar ka aaghosh-e-mizha mein hai ye qaul
zeb hai kahiye agar sher-e-niystan mujh ko
jis mein kuchh hoti hai ummid-e-visal-e-mahbub
itni khalti nahin wo gardish-e-dauran mujh ko
ye na malum tha is rang se aaegi bahaar
tauba-e-mai ne kiya saKHt pasheman mujh ko
ishq ne mansab-e-ushshaq jo taqsim kiye
bagh bulbul ko diya kucha-e-jaanan mujh ko
sozish-e-dil se ye parwane ki surat taDpa
dekh kar rone lagi sham-e-shabistan mujh ko
mujh giran-bar ke mahshar mein tulen jab aamal
na subuk kijiyo ai palla-e-mizan mujh ko
kaun andesha-e-farda ka malal aaj kare
mausam-e-gul mein nahin fikr-e-zamistan mujh ko
tere hote hue ai ghairat-e-KHurshid na lun
khoTe damon bhi mile gar mah-e-kanan mujh ko
saf-kashi apni dikhata hai mujhe kya ashrar
yaad hai us ki saf-arai-e-mizhgan mujh ko
lab-e-jaan-baKHsh sanam ka hun jo aashiq to log
jaante hain KHizar-e-chashma-e-haiwan mujh ko
na-tawan wo hun ajab kya sifat pa-e-malaKH
mor le jae agar pesh-e-sulaiman mujh ko
mere zulmat-kade mein laen jo raushan kar ke
kirm-e-shab aae nazar sham-e-shabistan mujh ko
sadd-e-bab ab mera aghyar abas karte hain
nikhat gul hun nahin kuchh gham-e-darban mujh ko
dil-jala main hun wo aashiq ki shab-e-hijr 'qalaq'
shama bhi rone lagi dekh gareban mujh ko
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.