but-parasti pe jo apna dil-e-nashad aaya
but-parastī pe jo apnā dil-e-nāshād aayā
sañg-rezo meñ nazar husn-e-ḳhudā-dād aayā
merī dar tak jo kabhī vo sitam-ījād kiyā
paañv chaukhaT pe na rakhe the ki ghar yaad aayā
'arsh se aa ke farishtoñ ne sañbhālā mujh ko
girte girte jo tirā naam mujhe yaad aayā
ā.īna taaq se utrā hī ḳhudā ḳhair kare
nāz-o-andāz sikhāne unheñ ustād aayā
baa'd marne ke lahad meñ jo lagā hone 'azāb
yaad kyā kyā na mujhe vo sitam-ījād aayā
to amaañ dahr meñ ulfat se huā maiñ paidā
'ishq hamrāh mire sūrat-e-ham-zād aayā
dil meñ go laakh the shikve magar un ke aage
aise kho.e ga.e kuchh bhī na hameñ yaad aayā
be-sutūñ par jo kabhī jā.ūñ maiñ vo 'āshiq huuñ
naqsh-e-shīrīñ se sadā aa.ī ki farhād aayā
is qadar ḳhauf-e-asīrī hai mire gulshan meñ
apne saa.e ko samajhtā huuñ ki sayyād aayā
merī vahshat se na un ko kahīñ saudā ho jaa.e
pūchhte phirte haiñ ik ek se fassād aayā
qumriyoñ ke liye suulī se sivā sarv huā
sair-e-gulshan ko jo vo ġhairat-e-shamshād aayā
oḌh kar surḳh dupaTTa mujhe maarā us ne
ban ke mirrīḳh mirī qatl ko jallād aayā
arġhavāñ zār-e-chaman khet banā kushtoñ kā
aaj gulzār meñ aisā koī jallād aayā
aur to kaun musībat meñ ḳhabar letā hai
jab kaleja bhī na muñh ko dam-e-fariyād aayā
merī vahshat ne mire ghar ko banāyā bāzār
kabhī fassād sudhārā kabhī haddād aayā
'kaif' kā haal 'ajab thā ġham-e-tanhā.ī se
bach ga.e jaan jo us dam vo parī-zād aayā
but-parasti pe jo apna dil-e-nashad aaya
sang-rezo mein nazar husn-e-KHuda-dad aaya
meri dar tak jo kabhi wo sitam-ijad kiya
panw chaukhaT pe na rakhe the ki ghar yaad aaya
'arsh se aa ke farishton ne sanbhaala mujh ko
girte girte jo tera nam mujhe yaad aaya
aaina taq se utra hi KHuda KHair kare
naz-o-andaz sikhane unhen ustad aaya
ba'd marne ke lahad mein jo laga hone 'azab
yaad kya kya na mujhe wo sitam-ijad aaya
to aman dahr mein ulfat se hua main paida
'ishq hamrah mere surat-e-ham-zad aaya
dil mein go lakh the shikwe magar un ke aage
aise khoe gae kuchh bhi na hamein yaad aaya
be-sutun par jo kabhi jaun main wo 'ashiq hun
naqsh-e-shirin se sada aai ki farhad aaya
is qadar KHauf-e-asiri hai mere gulshan mein
apne sae ko samajhta hun ki sayyaad aaya
meri wahshat se na un ko kahin sauda ho jae
puchhte phirte hain ek ek se fassad aaya
qumriyon ke liye suli se siwa sarw hua
sair-e-gulshan ko jo wo ghairat-e-shamshad aaya
oDh kar surKH dupaTTa mujhe mara us ne
ban ke mirriKH meri qatl ko jallad aaya
arghawan zar-e-chaman khet bana kushton ka
aaj gulzar mein aisa koi jallad aaya
aur to kaun musibat mein KHabar leta hai
jab kaleja bhi na munh ko dam-e-fariyaad aaya
meri wahshat ne mere ghar ko banaya bazar
kabhi fassad sudhaara kabhi haddad aaya
'kaif' ka haal 'ajab tha gham-e-tanhai se
bach gae jaan jo us dam wo pari-zad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.