butan-e-dahr ki har har ada rangin hoti hai
butan-e-dahr ki har har ada rangin hoti hai
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
butān-e-dahr kī har har adā rangīn hotī hai
hasīn sūrat koī ho qābil-e-tahsīn hotī hai
zamīn-e-sher jab us ko atā rangīn hotī hai
tabī.at shā.er-e-fitrat kī kyoñ ġhamgīn hotī hai
tabī.at muztarib bechain aur ġhamgīn hotī hai
magar īfā-e-va.ada par hī kuchh taskīn hotī hai
hamesha ḳhuun hī hotā rahā jazbāt-e-ulfat kā
rifāqat husn vāloñ kī baḌī sangīn hotī hai
ye maanā mausam-e-gul hai magar dāman na phaaḌ apnā
are dīvāne is meñ ishq kī tauhīn hotī hai
jagah deñ laakh āñkhoñ meñ 'shafī.a' mai-ḳhvār-e-mai-ḳhāna
magar phir bhī janāb-e-shaiḳh kī tauhīn hotī hai
butan-e-dahr ki har har ada rangin hoti hai
hasin surat koi ho qabil-e-tahsin hoti hai
zamin-e-sher jab us ko ata rangin hoti hai
tabiat shaer-e-fitrat ki kyon ghamgin hoti hai
tabiat muztarib bechain aur ghamgin hoti hai
magar ifa-e-wada par hi kuchh taskin hoti hai
hamesha KHun hi hota raha jazbaat-e-ulfat ka
rifaqat husn walon ki baDi sangin hoti hai
ye mana mausam-e-gul hai magar daman na phaD apna
are diwane is mein ishq ki tauhin hoti hai
jagah den lakh aankhon mein 'shafia' mai-KHwar-e-mai-KHana
magar phir bhi janab-e-shaiKH ki tauhin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.