buto kuchh had bhi hai jaur-o-jafa ki
buto kuchh had bhī hai jaur-o-jafā kī
hai āḳhir intihā har ibtidā kī
jagah kyā ho in āñkhoñ meñ hayā kī
bharī ho jin meñ shoḳhī intihā kī
shab-e-ġham aane meñ kartī hai ġhamze
adā bhātī nahīñ mujh ko qazā kī
mirā dil le ke ab mujh par ye zulm aah
daġhā kī tū ne o zālim daġhā kī
mazā hai mai-kashī kā abr meñ aaj
falak parchhā.ī hai rahmat ḳhudā kī
butoñ kī mehrbānī kyā karam kyā
ināyat chāhiye mujh par ḳhudā kī
tujhe o bevafā chāhā huī chuuk
tujhe dil ne diyā maiñ ne ḳhatā kī
ye kyoñ uḌtā hai chehre kā mire rañg
huī kis shoḳh ko hājat hinā kī
vo leñge jaan bhī vaañ le ke ik din
ḳhabar thī ibtidā meñ intihā kī
chalā dil kūcha-e-gesū ko jis dam
duā kī paḌh ke dam radd-e-balā kī
ga.e the vo jahāñ ham DhūñDh lete
madad miltī jo un ke naqsh-e-pā kī
dil-e-muztar kī kuchh hālat na pūchho
taḌap bijlī meñ hai aaj intihā kī
jab aate haiñ chaḌhā jaate haiñ do phuul
vo turbat par 'fahīm'-e-mubtalā kī
buto kuchh had bhi hai jaur-o-jafa ki
hai aaKHir intiha har ibtida ki
jagah kya ho in aankhon mein haya ki
bhari ho jin mein shoKHi intiha ki
shab-e-gham aane mein karti hai ghamze
ada bhati nahin mujh ko qaza ki
mera dil le ke ab mujh par ye zulm aah
dagha ki tu ne o zalim dagha ki
maza hai mai-kashi ka abr mein aaj
falak parchhai hai rahmat KHuda ki
buton ki mehrbani kya karam kya
inayat chahiye mujh par KHuda ki
tujhe o bewafa chaha hui chuk
tujhe dil ne diya main ne KHata ki
ye kyon uDta hai chehre ka mere rang
hui kis shoKH ko hajat hina ki
wo lenge jaan bhi wan le ke ek din
KHabar thi ibtida mein intiha ki
chala dil kucha-e-gesu ko jis dam
dua ki paDh ke dam radd-e-bala ki
gae the wo jahan hum DhunDh lete
madad milti jo un ke naqsh-e-pa ki
dil-e-muztar ki kuchh haalat na puchho
taDap bijli mein hai aaj intiha ki
jab aate hain chaDha jate hain do phul
wo turbat par 'fahim'-e-mubtala ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.