buton ke sath tabiat ko aashna kar ke
butoñ ke saath tabī.at ko āshnā kar ke
hue ḳharāb ġharaz dil ko mubtalā kar ke
batā tū ai falak-e-fitna-kār us but se
lagā hai haath tire ham ko kyā judā kar ke
ab aage dekhiye kyā nibTe us ke darbāñ se
ham us ke pahuñche haiñ dar tak ḳhudā ḳhudā kar ke
kahāñ hai dil jo lagā.eñ kisī se pahle hī
ham apnā baiThe haiñ dil sarf-e-mudda.ā kar ke
kiyā na fā.eda kuchh ḳhaak chārāgar āḳhir
marīz-e-ishq ke nādim hue davā kar ke
uThāyā haath jo ishq-e-butāñ se tum ne to phir
basar karoge bhalā 'aish' umr kyā kar ke
buton ke sath tabiat ko aashna kar ke
hue KHarab gharaz dil ko mubtala kar ke
bata tu ai falak-e-fitna-kar us but se
laga hai hath tere hum ko kya juda kar ke
ab aage dekhiye kya nibTe us ke darban se
hum us ke pahunche hain dar tak KHuda KHuda kar ke
kahan hai dil jo lagaen kisi se pahle hi
hum apna baiThe hain dil sarf-e-muddaa kar ke
kiya na faeda kuchh KHak chaaragar aaKHir
mariz-e-ishq ke nadim hue dawa kar ke
uThaya hath jo ishq-e-butan se tum ne to phir
basar karoge bhala 'aish' umr kya kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.