buton ko dekhte hi aa gaya dil
butoñ ko dekhte hī aa gayā dil
na sochā ibtidā meñ intihā dil
hasīno hai abhī nādāñ merā dil
samajhtā kuchh nahīñ achchhā-burā dil
mire bas meñ agar hotā mirā dil
na hotā yuuñ butoñ kā mubtalā dil
ye hasrat hai galā ho zer-e-ḳhanjar
kisī se kar rahā ho sāmnā dil
butoñ ko dekh kar ho jaa.e maa.il
diyā thā kyoñ mujhe aisā ḳhudā dil
sar-e-mahfil kisī se laḌ ga.ī aañkh
kisī se kar rahā hai sāmnā dil
vo shikva kar ke yuuñ kahte haiñ 'sayyāf'
kisī se aur hai terā lagā dil
buton ko dekhte hi aa gaya dil
na socha ibtida mein intiha dil
hasino hai abhi nadan mera dil
samajhta kuchh nahin achchha-bura dil
mere bas mein agar hota mera dil
na hota yun buton ka mubtala dil
ye hasrat hai gala ho zer-e-KHanjar
kisi se kar raha ho samna dil
buton ko dekh kar ho jae mail
diya tha kyon mujhe aisa KHuda dil
sar-e-mahfil kisi se laD gai aankh
kisi se kar raha hai samna dil
wo shikwa kar ke yun kahte hain 'sayyaf'
kisi se aur hai tera laga dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.