buton pe apni jo hum jaan den KHuda na kare
butoñ pe apnī jo ham jaan deñ ḳhudā na kare
ki un ko apnā ham īmān deñ ḳhudā na kare
vo bazm-e-ġhair meñ mujh se bigaḌ ke yuuñ bole
ki tujh ko haath se ham paan deñ ḳhudā na kare
vo apnā dekh ke saa.il mujhe ye kahte haiñ
ki tujh ko husn kī ham daan deñ ḳhudā na kare
kahā jo vasl ko un se jhiḌak ke yuuñ bole
ki tujh se vasl kī ham Thaan deñ ḳhudā na kare
ġharīb jaan ke 'sanjar' mujhe vo kahte haiñ
ki aise-vaisoñ pe ham jaan deñ ḳhudā na kare
buton pe apni jo hum jaan den KHuda na kare
ki un ko apna hum iman den KHuda na kare
wo bazm-e-ghair mein mujh se bigaD ke yun bole
ki tujh ko hath se hum pan den KHuda na kare
wo apna dekh ke sail mujhe ye kahte hain
ki tujh ko husn ki hum dan den KHuda na kare
kaha jo wasl ko un se jhiDak ke yun bole
ki tujh se wasl ki hum Than den KHuda na kare
gharib jaan ke 'sanjar' mujhe wo kahte hain
ki aise-waison pe hum jaan den KHuda na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.