bu-e-gul bagh mein barham nazar aati hai mujhe
bū-e-gul baaġh meñ barham nazar aatī hai mujhe
fasl-e-gul sūrat-e-shabnam nazar aatī hai mujhe
sham-e-ummīd kī lau bād-e-havādis meñ bhī
apne markaz pe hī har dam nazar aatī hai mujhe
garm-raftār haiñ ḳhurshīd-o-mah-o-arz-o-samā
zindagī jumbish-e-paiham nazar aatī hai mujhe
ġham-o-andoh o masā.ib ke siyah abr meñ bhī
ik tajallī hai jo paiham nazar aatī hai mujhe
jaane kyā aaj gulistāñ meñ payām aayā hai
aañkh har phuul kī pur-nam nazar aatī hai mujhe
shām-e-ġham hai ye ki hai matla-e-shām-e-ummīd
raushnī tāroñ kī maddham nazar aatī hai mujhe
nāla-e-nīm-shabī āh-o-fuġhān-e-saharī
har sadā ishq kī mub.ham nazar aatī hai mujhe
har dar-e-mai-kadā-e-ishq ke aage 'vahshī'
zohd-o-taqvā kī jabīñ ḳham nazar aatī hai mujhe
bu-e-gul bagh mein barham nazar aati hai mujhe
fasl-e-gul surat-e-shabnam nazar aati hai mujhe
sham-e-ummid ki lau baad-e-hawadis mein bhi
apne markaz pe hi har dam nazar aati hai mujhe
garm-raftar hain KHurshid-o-mah-o-arz-o-sama
zindagi jumbish-e-paiham nazar aati hai mujhe
gham-o-andoh o masaib ke siyah abr mein bhi
ek tajalli hai jo paiham nazar aati hai mujhe
jaane kya aaj gulistan mein payam aaya hai
aankh har phul ki pur-nam nazar aati hai mujhe
sham-e-gham hai ye ki hai matla-e-sham-e-ummid
raushni taron ki maddham nazar aati hai mujhe
nala-e-nim-shabi aah-o-fughan-e-sahari
har sada ishq ki mubham nazar aati hai mujhe
har dar-e-mai-kada-e-ishq ke aage 'wahshi'
zohd-o-taqwa ki jabin KHam nazar aati hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.