buDhe bargad pe sham ho gai hai
būḌhe bargad pe shaam ho ga.ī hai
ek duniyā tamām ho ga.ī hai
paḌ gayā hai udāsiyoñ kā rivāj
jis kī ḳhilqat ġhulām ho ga.ī hai
us gale ke baTan khule do tiin
raushnī be-niyām ho ga.ī hai
ham ravayyoñ pe kaam kar na sake
aaj taḳhrīb aam ho ga.ī hai
din bitāyā thā fikr-e-fardā meñ
raat maazī ke naam ho ga.ī hai
us galī meñ qiyām hai merā
be-gharī be-maqām ho ga.ī hai
us ke chhūne se bhī harā na huā
ye ḳhizānī davām ho ga.ī hai
āb-zāroñ pe jam ga.ī kaa.ī
zindagī tishna-kām ho ga.ī hai
saañs āhista chal rahī hai 'munīr'
maut kyoñ tez-gām ho ga.ī hai
buDhe bargad pe sham ho gai hai
ek duniya tamam ho gai hai
paD gaya hai udasiyon ka riwaj
jis ki KHilqat ghulam ho gai hai
us gale ke baTan khule do tin
raushni be-niyam ho gai hai
hum rawayyon pe kaam kar na sake
aaj taKHrib aam ho gai hai
din bitaya tha fikr-e-farda mein
raat mazi ke nam ho gai hai
us gali mein qiyam hai mera
be-ghari be-maqam ho gai hai
us ke chhune se bhi hara na hua
ye KHizani dawam ho gai hai
aab-zaron pe jam gai kai
zindagi tishna-kaam ho gai hai
sans aahista chal rahi hai 'munir'
maut kyon tez-gam ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.