bund ban ban ke bikharta jae
buuñd ban ban ke bikhartā jaa.e
aks ā.īne ko bhartā jaa.e
ban ke kal kal jo guzartā jaa.e
apne va.ade se mukartā jaa.e
ek hī lai meñ bahe jaatā hai
aur lagtā hai Thahartā jaa.e
shahr sāgar kā bhī ham-zād kahāñ
mauj-dar-mauj biphartā jaa.e
aks ma.akūs huā hai jab se
apnī nazroñ se utartā jaa.e
ek naddī hai ki ruktī hī nahīñ
ek tūfān utartā jaa.e
ek koñpal meñ simaTne ke liye
peḌ kā peḌ bikhartā jaa.e
bund ban ban ke bikharta jae
aks aaine ko bharta jae
ban ke kal kal jo guzarta jae
apne wade se mukarta jae
ek hi lai mein bahe jata hai
aur lagta hai Thaharta jae
shahr sagar ka bhi ham-zad kahan
mauj-dar-mauj bipharta jae
aks makus hua hai jab se
apni nazron se utarta jae
ek naddi hai ki rukti hi nahin
ek tufan utarta jae
ek konpal mein simaTne ke liye
peD ka peD bikharta jae
- Book : Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 15)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vagdevi Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.