bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae
būñdeñ paḌī thiiñ chhat pe ki sab log uTh ga.e
qudrat ke aadmī se 'ajab silsile rahe
vo shaḳhs kyā huā jo muqābil thā sochiye
bas itnā kah ke aa.ine ḳhāmosh ho ga.e
is aas par ki ḳhud se mulāqāt ho kabhī
apne hī dar pe aap hī dastak diyā kiye
patte uḌā ke le ga.ī andhī havā kahīñ
ashjār be-libās zamīñ meñ gaḌe rahe
kyā baat thī ki saarī fazā bolne lagī!
kuchh baat thī ki der talak sochte rahe
har sansanātī shai pe thī chādar dhueñ kī 'rāz'
ākāsh meñ shafaq thī na paanī pe dā.ere
maiñ ne ġhazal kahī hai 'munavvar' magar kahāñ!
pūchhegā 'rāz' kaun! miyāñ she’r kuchh kahe?
bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae
qudrat ke aadmi se 'ajab silsile rahe
wo shaKHs kya hua jo muqabil tha sochiye
bas itna kah ke aaine KHamosh ho gae
is aas par ki KHud se mulaqat ho kabhi
apne hi dar pe aap hi dastak diya kiye
patte uDa ke le gai andhi hawa kahin
ashjar be-libas zamin mein gaDe rahe
kya baat thi ki sari faza bolne lagi!
kuchh baat thi ki der talak sochte rahe
har sansanati shai pe thi chadar dhuen ki 'raaz'
aakash mein shafaq thi na pani pe daere
main ne ghazal kahi hai 'munawwar' magar kahan!
puchhega 'raaz' kaun! miyan she’r kuchh kahe?
- Book : Monthly Usloob (Pg. 376)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.