buzdil hain to is raste se jate hi nahin hain
buzdil haiñ to is raste se jaate hī nahīñ haiñ
ham aap ko tū kah ke bulāte hī nahīñ haiñ
khīñchoge jo dhāgā to udhaḌ jā.egā saarā
ham log tabhī haal batāte hī nahīñ haiñ
zinda nazar aane kī numā.ish pe na jaao
ham marte haiñ har vaqt dikhāte hī nahīñ haiñ
is shahr ke bachchoñ se kaheñ kuchh to kaheñ kyā
alfāz inheñ koī bhī aate hī nahīñ haiñ
is ghar kī safā.ī meñ bahut kaam hai 'fānī'
aur aap haiñ jo haath baTāte hī nahīñ haiñ
buzdil hain to is raste se jate hi nahin hain
hum aap ko tu kah ke bulate hi nahin hain
khinchoge jo dhaga to udhaD jaega sara
hum log tabhi haal batate hi nahin hain
zinda nazar aane ki numaish pe na jao
hum marte hain har waqt dikhate hi nahin hain
is shahr ke bachchon se kahen kuchh to kahen kya
alfaz inhen koi bhi aate hi nahin hain
is ghar ki safai mein bahut kaam hai 'fani'
aur aap hain jo hath baTate hi nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.