buzurgon ki ye baaten hain koi jhuTla nahin sakta
buzurgoñ kī ye bāteñ haiñ koī jhuTlā nahīñ saktā
bharosa un pe jo kartā hai dhoka khā nahīñ saktā
ham apne dil pe us kī justujū kā bojh kyoñ Dāleñ
vo ik Duubā huā sūraj hai vāpas aa nahīñ saktā
bas ik Thokar sañbhalne kā sabaq us ko sikhātī hai
fahīm insāñ kabhī Thokar pe Thokar khā nahīñ saktā
nikal saktā nahīñ vo shaḳhs māyūsī ke daldal se
kabhī apnī tamannāoñ ko jo Thukrā nahīñ saktā
vahī badnām kar saktā hai jo ham-rāz hotā hai
magar maiñ is haqīqat ko use samjhā nahīñ saktā
zavāl aa.egā ik din husn par bhī husn kī devī
ye mat samjho khilā hai phuul jo murjhā nahīñ saktā
mujhe 'jāved' vo kis tarh apne saath rakh letā
maiñ patthar huuñ mujhe hiirā koī apnā nahīñ saktā
buzurgon ki ye baaten hain koi jhuTla nahin sakta
bharosa un pe jo karta hai dhoka kha nahin sakta
hum apne dil pe us ki justuju ka bojh kyon Dalen
wo ek Duba hua suraj hai wapas aa nahin sakta
bas ek Thokar sanbhalne ka sabaq us ko sikhati hai
fahim insan kabhi Thokar pe Thokar kha nahin sakta
nikal sakta nahin wo shaKHs mayusi ke daldal se
kabhi apni tamannaon ko jo Thukra nahin sakta
wahi badnam kar sakta hai jo ham-raaz hota hai
magar main is haqiqat ko use samjha nahin sakta
zawal aaega ek din husn par bhi husn ki dewi
ye mat samjho khila hai phul jo murjha nahin sakta
mujhe 'jawed' wo kis tarh apne sath rakh leta
main patthar hun mujhe hira koi apna nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.