calender phir palaTta hai december phir badalta hai
calender phir palaTtā hai december phir badaltā hai
'duā' phir chār-sū mere nayā manzar ubhartā hai
ghaTā jab chhaTne lagtī hai to us kī oT se yak-dam
falak par sard mausam meñ hasīñ sūraj nikaltā hai
mohabbat ne kahā mujh se mohabbat ke liye phir se
ta'alluq taaza karne ko mirā dil bhī machaltā hai
mire dil ko tumhīñ ne barf kā TukḌā kahā thā naañ
vahī TukḌā mohabbat kī harārat se pighaltā hai
ye dard-o-ranj āñkhoñ kā bahā do apne ashkoñ meñ
tumhāre pyaar se dilbar ye merā dil bahaltā hai
calender phir palaTta hai december phir badalta hai
'dua' phir chaar-su mere naya manzar ubharta hai
ghaTa jab chhaTne lagti hai to us ki oT se yak-dam
falak par sard mausam mein hasin suraj nikalta hai
mohabbat ne kaha mujh se mohabbat ke liye phir se
ta'alluq taza karne ko mera dil bhi machalta hai
mere dil ko tumhin ne barf ka TukDa kaha tha nan
wahi TukDa mohabbat ki hararat se pighalta hai
ye dard-o-ranj aankhon ka baha do apne ashkon mein
tumhaare pyar se dilbar ye mera dil bahalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.