soz-e-dua se saz-e-asar kaun le gaya
soz-e-duā se sāz-e-asar kaun le gayā
ik sang-e-dar se nisbat-e-sar kaun le gayā
har shai hai nā-tamām ye ehsās kyuuñ hai aaj
har 'aib se javāz-e-hunar kaun le gayā
kis ne mirī nigāh se parde uThā diye
ik ranj-e-āgahī ki idhar kaun le gayā
'arsa huā ke paañv ke nīche zamīñ nahīñ
vo naqsh-e-pā vo rāhguzar kaun le gayā
mere safīne mere lahū meñ nahā ga.e
mere sarāb ke vo bhañvar kaun le gayā
tāḳhīr-e-vaqt-e-dīd tirī barhamī kā Dar
kitnā hasīn Dar thā vo Dar kaun le gayā
hairāñ hai 'aql 'shāz' ki vahshat kidhar ga.ī
bastī udaas hai ki khañDar kaun le gayā
soz-e-dua se saz-e-asar kaun le gaya
ek sang-e-dar se nisbat-e-sar kaun le gaya
har shai hai na-tamam ye ehsas kyun hai aaj
har 'aib se jawaz-e-hunar kaun le gaya
kis ne meri nigah se parde uTha diye
ek ranj-e-agahi ki idhar kaun le gaya
'arsa hua ke panw ke niche zamin nahin
wo naqsh-e-pa wo rahguzar kaun le gaya
mere safine mere lahu mein naha gae
mere sarab ke wo bhanwar kaun le gaya
taKHir-e-waqt-e-did teri barhami ka Dar
kitna hasin Dar tha wo Dar kaun le gaya
hairan hai 'aql 'shaz' ki wahshat kidhar gai
basti udas hai ki khanDar kaun le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.