chadar-e-abr mein suraj ko chhupane ke liye
chādar-e-abr meñ sūraj ko chhupāne ke liye
vo pas-e-parda bhī baiThe nazar aane ke liye
maiñ ka.ī baar ḳhafā ho ke chaman se uTThā
phir koī gul nikal aatā hai bulāne ke liye
dil kuchh aisā tirī mahkār meñ Duubā huā thā
bū-e-gul aa.ī mujhe haath lagāne ke liye
jaane is jalva-gah-e-hast meñ aa.e kyoñ haiñ
ham ki ḳhud apne liye haiñ na zamāne ke liye
un ke dil meñ hai bahut dard-e-nihāñ kī daulat
jin ke siine pe nahīñ daaġh dikhāne ke liye
use har taur mire dil ko lahū karnā thā
mausam-e-gul ko rakhā ek bahāne ke liye
chadar-e-abr mein suraj ko chhupane ke liye
wo pas-e-parda bhi baiThe nazar aane ke liye
main kai bar KHafa ho ke chaman se uTTha
phir koi gul nikal aata hai bulane ke liye
dil kuchh aisa teri mahkar mein Duba hua tha
bu-e-gul aai mujhe hath lagane ke liye
jaane is jalwa-gah-e-hast mein aae kyon hain
hum ki KHud apne liye hain na zamane ke liye
un ke dil mein hai bahut dard-e-nihan ki daulat
jin ke sine pe nahin dagh dikhane ke liye
use har taur mere dil ko lahu karna tha
mausam-e-gul ko rakha ek bahane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.