chah kar bhi na koi un se gila rakhta hun
chah kar bhi na koi un se gila rakhta hun
Syed Tanvir Raza Abidi
MORE BYSyed Tanvir Raza Abidi
chaah kar bhī na koī un se gila rakhtā huuñ
apne jazbāt kisī tarah dabā rakhtā huuñ
apnī taklīf kā kartā nahīñ iz.hār kabhī
ashk āñkhoñ meñ to ġham dil meñ chhupā rakhtā huuñ
sar-kashī us kī bhalā kaise sahūñ maiñ har baar
maiñ bhī insān huuñ kuchh maiñ bhī anā rakhtā huuñ
lazzat-e-dard hai vo jis ne mujhe rokā hai
varna maiñ apne har ik ġham kī davā rakhtā huuñ
kuchh sukūñ paatā huuñ is vāste tanhā.ī meñ
girya-o-nāla-o-fariyād bapā rakhtā huuñ
saḳht mushkil meñ bhī māyūs nahīñ hotā kabhī
maiñ añdheroñ meñ bhī ummīd-e-ziyā rakhtā huuñ
dekh 'tanvīr' mire hāl-e-pareshāñ ko dekh
dekh kyā ishq-o-mohabbat kā sila rakhtā huuñ
chah kar bhi na koi un se gila rakhta hun
apne jazbaat kisi tarah daba rakhta hun
apni taklif ka karta nahin izhaar kabhi
ashk aankhon mein to gham dil mein chhupa rakhta hun
sar-kashi us ki bhala kaise sahun main har bar
main bhi insan hun kuchh main bhi ana rakhta hun
lazzat-e-dard hai wo jis ne mujhe roka hai
warna main apne har ek gham ki dawa rakhta hun
kuchh sukun pata hun is waste tanhai mein
girya-o-nala-o-fariyaad bapa rakhta hun
saKHt mushkil mein bhi mayus nahin hota kabhi
main andheron mein bhi ummid-e-ziya rakhta hun
dekh 'tanwir' mere haal-e-pareshan ko dekh
dekh kya ishq-o-mohabbat ka sila rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.