chah pane ki nahin khone ka kuchh Dar bhi nahin
chah pane ki nahin khone ka kuchh Dar bhi nahin
Wajid Husain Saahil
MORE BYWajid Husain Saahil
chaah paane kī nahīñ khone kā kuchh Dar bhī nahīñ
ġham judā.ī kā mujhe rattī barābar bhī nahīñ
jab se us kā ho gayā phir maiñ kahāñ baaqī rahā
log bāhar DhūñDte haiñ maiñ to andar bhī nahīñ
jī meñ aatā hai use bandī banā luuñ ḳhvāb meñ
mere nainoñ meñ magar ruktā vo pal-bhar bhī nahīñ
shohrateñ insān ko panchhī banā detī haiñ kyā
vo bhī uḌte haiñ havā meñ jin ke to par bhī nahīñ
jiite jī tamġhoñ se shāyad kuchh bhalā hotā magar
kyā kare dastār kā jab jism pe sar bhī nahīñ
kis qadar is daur kī rangīniyoñ meñ kho ga.e
ham ko ab aslāf ke paiġhām azbar bhī nahīñ
merī aamad se bhalā kyoñ aa.ina Darne lage
mere hāthoñ meñ to 'sāhil' koī patthar bhī nahīñ
chah pane ki nahin khone ka kuchh Dar bhi nahin
gham judai ka mujhe ratti barabar bhi nahin
jab se us ka ho gaya phir main kahan baqi raha
log bahar DhunDte hain main to andar bhi nahin
ji mein aata hai use bandi bana lun KHwab mein
mere nainon mein magar rukta wo pal-bhar bhi nahin
shohraten insan ko panchhi bana deti hain kya
wo bhi uDte hain hawa mein jin ke to par bhi nahin
jite ji tamghon se shayad kuchh bhala hota magar
kya kare dastar ka jab jism pe sar bhi nahin
kis qadar is daur ki ranginiyon mein kho gae
hum ko ab aslaf ke paigham azbar bhi nahin
meri aamad se bhala kyon aaina Darne lage
mere hathon mein to 'sahil' koi patthar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.