chaha yahi tha mir ka aazar khinchti
chāhā yahī thā 'mīr' kā āzār khīñchtī
sahrā meñ apne vāste dīvār khīñchtī
aayā thā merī or vo pyāse laboñ ke saath
bas meñ kahāñ thā mere ki inkār khīñchtī
mujh se chhuḌā ke haath vo jaane lagā thā kyoñ
ik baar gar vo kahtā to sau baar khīñchtī
kartā agar savāl ataa.ī visāl kā
tishna sī ārzū-e-talabgār khīñchtī
dil meñ chhupā ke baiTh gayā mausam-e-tarab
kaise maiñ apnā jazba-e-iz.hār khīñchtī
rakkhā hai us ne yaad mujhe ḳhvāb kī tarah
ai kaash maiñ bhī arsa-e-azkār khīñchtī
vo bhī guloñ kī ḳhushbūoñ ke sang kheltā
maiñ bhī badan kī shāḳh-e-samar-bār khīñchtī
jaadū thā us ke husn-e-talab ke hisār meñ
'māhīn' kaise shiddat-e-isrār khīñchtī
chaha yahi tha 'mir' ka aazar khinchti
sahra mein apne waste diwar khinchti
aaya tha meri or wo pyase labon ke sath
bas mein kahan tha mere ki inkar khinchti
mujh se chhuDa ke hath wo jaane laga tha kyon
ek bar gar wo kahta to sau bar khinchti
karta agar sawal atai visal ka
tishna si aarzu-e-talabgar khinchti
dil mein chhupa ke baiTh gaya mausam-e-tarab
kaise main apna jazba-e-izhaar khinchti
rakkha hai us ne yaad mujhe KHwab ki tarah
ai kash main bhi arsa-e-azkar khinchti
wo bhi gulon ki KHushbuon ke sang khelta
main bhi badan ki shaKH-e-samar-bar khinchti
jadu tha us ke husn-e-talab ke hisar mein
'mahin' kaise shiddat-e-israr khinchti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.