chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun
chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun
Sajjad Baqar Rizvi
MORE BYSajjad Baqar Rizvi
chāhat jī kā rog hai pyāre jī ko rok lagāo kyuuñ
jaisī karnī vaisī bharnī ab is par pachhtāo kyuuñ
surḳh haiñ āñkheñ zard hai chehra rañgoñ kī tartīb ajiib
is be-rañg zamāne ko tum aise rañg dikhāo kyuuñ
dil kā dar kab band huā hai koī aa.e koī jaa.e
jo aa.e aur kabhī na jaa.e vo mehmān bulāo kyuuñ
sub.h kā bhūlā shaam ko vāpas ghar aa.e to ġhanīmat hai
jin galiyoñ meñ jā ke na lauTo un galiyoñ meñ jaao kyuuñ
aas kī Dor bahut nāzuk thī bojh paḌā to TuuT ga.ī
tez havā.eñ jab chaltī hoñ ūñchī pech laḌāo kyuuñ
saarī ruteñ ānī-jānī haiñ har rab kā hai apnā rañg
rañg kā dhokā khāne vaalo apnā rañg uḌaao kyuuñ
aas kā dāman chhūT gayā to hāthoñ ko āzād na do
apnī chādar chhoTī ho to paañv bahut phailāv kyuuñ
pyaar kī shiddat dil kī hiddat 'bāqar' us ko raas nahīñ
garm havā ke jhoñkoñ se us phuul ko tum kumhlāo kyuuñ
chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun
jaisi karni waisi bharni ab is par pachhtao kyun
surKH hain aankhen zard hai chehra rangon ki tartib ajib
is be-rang zamane ko tum aise rang dikhao kyun
dil ka dar kab band hua hai koi aae koi jae
jo aae aur kabhi na jae wo mehman bulao kyun
subh ka bhula sham ko wapas ghar aae to ghanimat hai
jin galiyon mein ja ke na lauTo un galiyon mein jao kyun
aas ki Dor bahut nazuk thi bojh paDa to TuT gai
tez hawaen jab chalti hon unchi pech laDao kyun
sari ruten aani-jaani hain har rab ka hai apna rang
rang ka dhoka khane walo apna rang uDao kyun
aas ka daman chhuT gaya to hathon ko aazad na do
apni chadar chhoTi ho to panw bahut phailaw kyun
pyar ki shiddat dil ki hiddat 'baqar' us ko ras nahin
garm hawa ke jhonkon se us phul ko tum kumhlao kyun
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 213)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.