chahat ke zaKHm dil mein hamesha chubhe rahe

chahat ke zaKHm dil mein hamesha chubhe rahe
Masharraf Shahryar Kazmi
MORE BYMasharraf Shahryar Kazmi
chāhat ke zaḳhm dil meñ hamesha chubhe rahe
āñkhoñ meñ terī yaad ke aañsū bhare rahe
maqsad hayāt kā thā tirī sair-e-gulsitāñ
ham to basīt sahrā meñ tanhā khaḌe rahe
sab ye samajh rahe the ki ye lāla-zār hai
kāñTe hamāre paañv meñ aise chubhe rahe
ham laḌkhaḌā ke rah ga.e rāh-e-hayāt meñ
lekin vafā kī raah meñ paañv jame rahe
raushan na ho sakī kabhī ye bazm-e-zindagī
dil bhī bujhā rahā kabhī ham bhī bujhe rahe
ab shauq-e-āstāñ hī 'musharraf' nahīñ mujhe
sajde hazār yuuñ to jabīñ meñ chhupe rahe
chahat ke zaKHm dil mein hamesha chubhe rahe
aankhon mein teri yaad ke aansu bhare rahe
maqsad hayat ka tha teri sair-e-gulsitan
hum to basit sahra mein tanha khaDe rahe
sab ye samajh rahe the ki ye lala-zar hai
kanTe hamare panw mein aise chubhe rahe
hum laDkhaDa ke rah gae rah-e-hayat mein
lekin wafa ki rah mein panw jame rahe
raushan na ho saki kabhi ye bazm-e-zindagi
dil bhi bujha raha kabhi hum bhi bujhe rahe
ab shauq-e-astan hi 'musharraf' nahin mujhe
sajde hazar yun to jabin mein chhupe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.