chahaton ka zara asar bhi ho
chāhatoñ kā zarā asar bhī ho
pyaar kī aag ab idhar bhī ho
raushnī kā patā karo yaaro
raat hai to kahīñ sahar bhī ho
in nazāroñ se kuchh nahīñ hogā
kuchh hamārī na.ī nazar bhī ho
in dīvāroñ meñ qaid ho shāyad
us ḳhushī kī hameñ ḳhabar bhī ho
ho patā ab bahāroñ kā ham ko
vo ḳhushī kā samāñ idhar bhī ho
har ghaḌī ab shikāyateñ na kar
zindagī ḳhushnumā safar bhī ho
chahaton ka zara asar bhi ho
pyar ki aag ab idhar bhi ho
raushni ka pata karo yaro
raat hai to kahin sahar bhi ho
in nazaron se kuchh nahin hoga
kuchh hamari nai nazar bhi ho
in diwaron mein qaid ho shayad
us KHushi ki hamein KHabar bhi ho
ho pata ab bahaaron ka hum ko
wo KHushi ka saman idhar bhi ho
har ghaDi ab shikayaten na kar
zindagi KHushnuma safar bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.