Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahe be-nur hon aankhon se bhi KHush hote hain

Nomaan Shauque

chahe be-nur hon aankhon se bhi KHush hote hain

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    chāhe be-nūr hoñ āñkhoñ se bhī ḳhush hote haiñ

    ham to bū-jahl ke fatvoñ se bhī ḳhush hote haiñ

    ye sajāvaT ke jo bāzār haiñ bekār nahīñ

    hoñge kuchh log jo chehroñ se bhī ḳhush hote haiñ

    har nayā lamha ta'āqub meñ hai tā'bīroñ

    ham vo jaage haiñ jo ḳhvāboñ se bhī ḳhush hote haiñ

    aise phuuT ke ro.egā koī un ke liye

    log majbūr ke nāloñ se bhī ḳhush hote haiñ

    ye jo har roz marnā hai musībat hai yahī

    yaar ham jaise to zaḳhmoñ se bhī ḳhush hote haiñ

    koī hai jo tirī auqāt batātā hai tujhe

    ab to ham aa.ine vāloñ se bhī ḳhush hote haiñ

    mushk vaale bhī chale aate haiñ bhūle-bhaTke

    ye jo suufī haiñ ġhazāloñ se bhī ḳhush hote haiñ

    chahe be-nur hon aankhon se bhi KHush hote hain

    hum to bu-jahl ke fatwon se bhi KHush hote hain

    ye sajawaT ke jo bazar hain bekar nahin

    honge kuchh log jo chehron se bhi KHush hote hain

    har naya lamha ta'aqub mein hai ta'biron ki

    hum wo jage hain jo KHwabon se bhi KHush hote hain

    aise hi phuT ke roega koi un ke liye

    log majbur ke nalon se bhi KHush hote hain

    ye jo har roz ka marna hai musibat hai yahi

    yar hum jaise to zaKHmon se bhi KHush hote hain

    koi hai jo teri auqat batata hai tujhe

    ab to hum aaine walon se bhi KHush hote hain

    mushk wale bhi chale aate hain bhule-bhaTke

    ye jo sufi hain ghazalon se bhi KHush hote hain

    Source :
    • Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 114)
    • Author : Nomaan Shauque
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now