chahe bhale hon chahe bure hon har surat taDpate hain
chāhe bhale hoñ chāhe bure hoñ har sūrat taḌpāte haiñ
mehr-o-vafā kī baat nahīñ hai dost bahut yaad aate haiñ
duniyā dhokā maayā khoTī log yahāñ sab jhūTe haiñ
kaisī kaisī bāteñ kar ke ham dil ko bahlāte haiñ
dil hī apnā bas meñ nahīñ hai dil hī apnā dushman hai
auroñ par ilzām nahīñ vo to apne ban jaate haiñ
kaisā hañsnā kaisā ronā ek tamāsha duniyā kā
ārā.ish kā qumquma jaise jalte haiñ bujh jaate haiñ
terā naam bhī lab par laate ab is vāste Darte haiñ
log bahut haiñ aur logoñ meñ afsāne ho jaate haiñ
jaisī ham par guzrī sab par aisī kuchh hī guzartī hai
jhūTe sachche qissoñ se ham kaun sī baat banāte haiñ
yuuñ to shāyad koī milā ho lekin bichhḌe kitne dost
jis ko kho dete haiñ goyā sirf usī ko paate haiñ
chahe bhale hon chahe bure hon har surat taDpate hain
mehr-o-wafa ki baat nahin hai dost bahut yaad aate hain
duniya dhoka maya khoTi log yahan sab jhuTe hain
kaisi kaisi baaten kar ke hum dil ko bahlate hain
dil hi apna bas mein nahin hai dil hi apna dushman hai
auron par ilzam nahin wo to apne ban jate hain
kaisa hansna kaisa rona ek tamasha duniya ka
aaraish ka qumquma jaise jalte hain bujh jate hain
tera nam bhi lab par late ab is waste Darte hain
log bahut hain aur logon mein afsane ho jate hain
jaisi hum par guzri sab par aisi kuchh hi guzarti hai
jhuTe sachche qisson se hum kaun si baat banate hain
yun to shayad koi mila ho lekin bichhDe kitne dost
jis ko kho dete hain goya sirf usi ko pate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.