chahe jitna bhi fasla rakhna
chāhe jitnā bhī fāsla rakhnā
duur jā kar bhī rābta rakhnā
paar karne chale ho dariyā to
Duub jaane kā hausla rakhnā
Tuut jaane kā Dar ho is kā to
dil ko patthar hī tum banā rakhnā
yaad rakhnā jahāñ ye faanī hai
ḳhud ko manzil se āshnā rakhnā
sab kā denā javāb mushkil hai
kuchh savāloñ ko an-sunā rakhnā
maiñ huuñ jitnā luTā mohabbat meñ
utnā haq meñ mu'āvza rakhnā
vaqt kaTtā nahīñ 'nazar' ab to
kitnā mushkil hai aasrā rakhnā
chahe jitna bhi fasla rakhna
dur ja kar bhi rabta rakhna
par karne chale ho dariya to
Dub jaane ka hausla rakhna
Tut jaane ka Dar ho is ka to
dil ko patthar hi tum bana rakhna
yaad rakhna jahan ye fani hai
KHud ko manzil se aashna rakhna
sab ka dena jawab mushkil hai
kuchh sawalon ko an-suna rakhna
main hun jitna luTa mohabbat mein
utna haq mein mu'awza rakhna
waqt kaTta nahin 'nazar' ab to
kitna mushkil hai aasra rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.