chahe jugnu ki sitara ki guhar mein rahna
chāhe jugnū ki sitāra ki guhar meñ rahnā
tum bahar-rang bahar-shakl nazar meñ rahnā
thak ke raste meñ kahīñ baiTh na jaanā raahī
chalte rahnā ki muqaddar hai safar meñ rahnā
tere ik roz ke dīdār meñ hai kitnī kashish
roz kā kaam huā terī Dagar meñ rahnā
ḳhūbsūrat to bahut hai ye tirā gaañv magar
koī din aa ke hamāre bhī nagar meñ rahnā
maut ke baad phir ik gardish-e-paiham kī ḳhabar
TuuTe pattoñ kā havāoñ ke bhañvar meñ rahnā
azhdahā bhiiḌ kā phir tum ko nigal jā.egā
duur honā to bas itnā ki nazar meñ rahnā
ek dhaḌkā sā lagā rahtā hai bārish meñ 'asīr'
ghar meñ rahte hue āsāñ nahīñ ghar meñ rahnā
chahe jugnu ki sitara ki guhar mein rahna
tum bahar-rang bahar-shakl nazar mein rahna
thak ke raste mein kahin baiTh na jaana rahi
chalte rahna ki muqaddar hai safar mein rahna
tere ek roz ke didar mein hai kitni kashish
roz ka kaam hua teri Dagar mein rahna
KHubsurat to bahut hai ye tera ganw magar
koi din aa ke hamare bhi nagar mein rahna
maut ke baad phir ek gardish-e-paiham ki KHabar
TuTe patton ka hawaon ke bhanwar mein rahna
azhdaha bhiD ka phir tum ko nigal jaega
dur hona to bas itna ki nazar mein rahna
ek dhaDka sa laga rahta hai barish mein 'asir'
ghar mein rahte hue aasan nahin ghar mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.