chahe khoTe hain ya khare hain hum
chāhe khoTe haiñ yā khare haiñ ham
Dast-e-qudrat ke lāDle haiñ ham
'aks-e-rafta ko dekhiye sāhib
kitne mā'sūm lag rahe haiñ ham
raat jīvan kā giit gaatī hai
ḳhvāb-e-tanvīm dekhte haiñ ham
'umr lag jā.egī sañbhalne meñ
kis bulandī se yuuñ gire haiñ ham
ek hangām hai taġhayyur kā
kunj-e-nisyān meñ paḌe haiñ ham
ab bhī mehñdī kā rang gahrā hai
sandalīñ haath par rache haiñ ham
ik tamāshā hai kār-zār-e-hayāt
dekh kar ser ho chuke haiñ ham
jhilmilāte haiñ aarzū ke kañval
dil-jharoke se jhāñkte haiñ ham
chahe khoTe hain ya khare hain hum
Dast-e-qudrat ke laDle hain hum
'aks-e-rafta ko dekhiye sahib
kitne ma'sum lag rahe hain hum
raat jiwan ka git gati hai
KHwab-e-tanwim dekhte hain hum
'umr lag jaegi sanbhalne mein
kis bulandi se yun gire hain hum
ek hangam hai taghayyur ka
kunj-e-nisyan mein paDe hain hum
ab bhi mehndi ka rang gahra hai
sandalin hath par rache hain hum
ek tamasha hai kar-zar-e-hayat
dekh kar ser ho chuke hain hum
jhilmilate hain aarzu ke kanwal
dil-jharoke se jhankte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.