chahe mayusi ki rahen mujhe dikhlati hain
chāhe māyūsī kī rāheñ mujhe dikhlātī haiñ
uljhaneñ mujh meñ ulajh kar bhī to pachhtātī haiñ
jab kabhī ḳhvāhisheñ be-Dhang banātī haiñ mujhe
mushkileñ aa ke mirī zindagī suljhātī haiñ
kis takalluf se sajātā huuñ hañsī chehre par
us kī yādeñ haiñ ki phir mujh ko rulā jaatī haiñ
tishnagī vasl kī baḌh jaatī hai har vasl ke baad
aur ġhazleñ mirī mazmūn ko dohrātī haiñ
jo bhī kahnā ho zarā soch samajh kar kahnā
log is shahr ke kuchh zyāda hī jazbātī haiñ
sard mausam meñ vo jab bhī nazar aa.e 'sāqib'
dhaḌkaneñ dil kī tire siine ko garmāti haiñ
chahe mayusi ki rahen mujhe dikhlati hain
uljhanen mujh mein ulajh kar bhi to pachhtati hain
jab kabhi KHwahishen be-Dhang banati hain mujhe
mushkilen aa ke meri zindagi suljhati hain
kis takalluf se sajata hun hansi chehre par
us ki yaaden hain ki phir mujh ko rula jati hain
tishnagi wasl ki baDh jati hai har wasl ke baad
aur ghazlen meri mazmun ko dohraati hain
jo bhi kahna ho zara soch samajh kar kahna
log is shahr ke kuchh zyaada hi jazbaati hain
sard mausam mein wo jab bhi nazar aae 'saqib'
dhaDkanen dil ki tere sine ko garmati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.