chahe miTTi ka diya tha ye jalae rakkha
chāhe miTTī kā diyā thā ye jalā.e rakkhā
ḳhud se jo ahd kiyā thā so nibhā.e rakkhā
merī vābastagī-e-bāġh hai īmāñ merā
be-samar shāḳh ko siine se lagā.e rakkhā
qadd-o-qāmat kā ta.ayyun sar-e-sahrā kaisā
phir bhī sāyoñ hī ko me.aar banā.e rakkhā
maiñ ne ta.avīz samajh kar jise pahnā thā kabhī
jaane us naqsh ne kyoñ mujh ko Darā.e rakkhā
nā-rasā.ī ke samundar kī sadā.eñ sun kar
aur ik naqsh nayā ham ne banā.e rakkhā
harf kī dhuup agar sub.h-e-tamāzat na banī
apne hī jism ko dīvār banā.e rakkhā
maiñ kahāñ aur kahāñ shahr-e-qasīda yaaro
'sabr' kā nauha magar lab pe sajā.e rakkhā
chahe miTTi ka diya tha ye jalae rakkha
KHud se jo ahd kiya tha so nibhae rakkha
meri wabastagi-e-bagh hai iman mera
be-samar shaKH ko sine se lagae rakkha
qadd-o-qamat ka tayyun sar-e-sahra kaisa
phir bhi sayon hi ko mear banae rakkha
main ne tawiz samajh kar jise pahna tha kabhi
jaane us naqsh ne kyon mujh ko Darae rakkha
na-rasai ke samundar ki sadaen sun kar
aur ek naqsh naya hum ne banae rakkha
harf ki dhup agar subh-e-tamazat na bani
apne hi jism ko diwar banae rakkha
main kahan aur kahan shahr-e-qasida yaro
'sabr' ka nauha magar lab pe sajae rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.